No products in the cart.
Har brand ke peeche ek kahani hoti hai, aur BedLife Ayurveda ki kahani sirf ek business ki nahi, balki ek real journey hai – dosti, trust aur Ayurveda ke prati ek jazbaat ki.
Ayurveda ke prati mera rujhaan bachpan se hi tha. Chhoti-moti health problems me main hamesha jadibootiyo aur Ayurvedic upaayon ka sahara leta tha. Dosto aur parivaar wale bhi aksar mujhse Ayurvedic sujhaav poochte the. Isi beech, ek din mere ek dost ne mujhse apni behen ke pet ki health issue ke baare me poocha. Usne mujhse specifically isliye poocha kyunki use pata tha ki main Ayurveda me dilchaspi rakhta hoon. Maine usse suggest kiya ki Ayurvedic dawa lena faydemand rahega, aur hum dono ek Ayurvedic dukaan par gaye.
Jab hum wahan dawa pack karwa rahe the, tab humare teesre dost (jo hamesha thoda chup-chup rehta tha) humein chhod kar vaidh ji ke paas chale gaye. Thodi der baad jab wo wapas aaye, to humne casually poocha ki wo kahan gaye the. Pehle to unhone talna chaha, par baar-baar puchne par unhone hichkichate hue bataya ki unhe sexual health problem hai.
Sach kahu to pehle to hume mazaak laga, humne hasna shuru kiya. Lekin jab unki serious shakal dekhi, tab samajh aya ki wo problem unke liye kitni badi struggle hai. Unhone kabhi kisi ko nahi bataya tha, sharm ke maare chupate rahe. Us din hume realize hua ki aisi problems bahut aam hain, lekin log bataane se katarate hain.
Uske baad humne ठान लिया ki unke saath khade rahenge. Humne unke liye Ayurvedic ilaaj start kiya, doctors aur vaidhyo se mile, jadibootiyon ka istemal kiya. Dheere-dheere, Ayurveda ka asar dikhne laga. 6 mahine ke andar wo poori tarah theek ho gaye.
Ye journey sirf unki recovery nahi thi, balki humare liye ek nayi soch ki shuruaat thi. In 6 mahino me humne dekha ki Ayurvedic shops aur clinics par kitne log sexual problems ke liye ja rahe hain – ladke ho ya ladkiyan, jawaan ho ya buzurg. Ye problem aam hai, lekin log ya to serious nahi lete, ya sharm ke wajah se chupate rehte hain.
Tab humne decide kiya –
👉 “Kyun na ek aisa brand banaya jaye jo Ayurveda ke through logon ko ek safe, natural aur trusted solution de? Ek aisa solution jo unki problem solve kare bina kisi sharm ke.”
Aur is tarah janm hua BedLife Ayurveda ka.
BedLife Ayurveda sirf ek company nahi, balki ek movement hai.
Ek movement jo sharm aur hesitation todkar, Ayurveda ke sahare ek nayi sehatmand aur khushhaal zindagi ki taraf lekar jata hai. 🌿